Ghar mein nahai daanay aur amma chali bhunwaanay
Jaib mein nahai ekkani, sarai mein baseyra
Darr lagay bhala se, salaami topoon se letay hein
Ghar mein nahai light, baap power house ka maalik
Hum mein nahai hay dum, kushti ladayengay hum
Baap na maaray mendki aur beta teer andaaz
Langda jhaaru dey aur dou uski taangay pakadein
Phouwad chalay sattar ghar hilein
Surdass ki kaali kamariya, chaday na koi duja rung
Jahaan chaar burtan hotay hein khadkhadaahut tou hoti hey
Madhur baani, dagha baazi ki nishaani
Din bhar ungha unghi, raat mein charkha pouni
No dekhein aur sattar thoukein
Beta laya chamaari woh bhi bahu hamaari
Haathi phiray gaon gaon, jis ka haathi usi ka naam
Apna pout aur dousray ki gharwali sub ko achchi lagti hey
Meri maa ne khassum kiya, bura kiya aur karkey choda woh uss se bhi bura kiya
Begaano ki shaadi me abdullaha deewana
Shaadi nahai kari tou kiya, baraatein tou bouhout dekhi hein
Kavvoun ke rooney se dhour nahai mara kartey
Dour key dhool suhaanay lugtay hein, pass aaney par kaan phat tey hein
Asharfiyan lutaaien aub koilo par mohar
Ghareeb ki joru, sub ki ghar waali
Raand apna rundaapa kaat tou ley par rundway usay kaatney nahai detey hein
Dou apnay ghar key aur dou aaieay dooli chad key
Maalik ki pouri, betay ki aadhi aur naukar kay..........?
Takey di sell nahai sir khunjan di vell nahai
*****************